Lamhay
Ap ki shaeri parh kar yun lagta hai jaise ek nau-umer larki chiraag haath mein le kar hawa ke ro-baru khari hai... Guriya ke haath nele par chuke hain, magar us ki aankhoon mein chamak maujood hai phool hain ke patti patti aur titleyaan hain ke rang barang khud ko sametay huwe hain... lekin khushboo hai ke phailti chali ja rahi hai aur rang hai ke hawaas per chaata ja raha hai...
Khuda kare ke aap ki shaaeri ka yeh mausam roz baroz nikharta jaye aur daaemi ban jaaye...
[QUOTE] Originally posted by Amarbail: *
**Lamhay*
Ap ki shaeri parh kar yun lagta hai jaise ek nau-umer larki chiraag haath mein le kar hawa ke ro-baru khari hai... Guriya ke haath nele par chuke hain, magar us ki aankhoon mein chamak maujood hai phool hain ke patti patti aur titleyaan hain ke rang barang khud ko sametay huwe hain... lekin khushboo hai ke phailti chali ja rahi hai aur rang hai ke hawaas per chaata ja raha hai...
Khuda kare ke aap ki shaaeri ka yeh mausam roz baroz nikharta jaye aur daaemi ban jaaye...
Ameen
[/QUOTE]
ap nay jo kuch likha usko parh kar aik zamana yaad agaya woh chiragh tu kab ka bhujh chuka haan par umeed ki kiran roshan hai aur roshan rahay gi taumar!!
kafi achi bataien bhi keh jatay hain aap!

thanks AB!
[/QUOTE]
Lamhay ji chiraag tu jalta hi hai kuch deir ke leye, aur bil-aakhir bujh jaaya karta hai... btw thanks for your every word Lamhay ... God bless ya !