Zaahir shumaal mein koyee taara hua to hai
Izn-e-safar ka aik ishara hua to hai
Kya hai, jo rakh dein aakhri daao mein naqd-e-jaan
Wesay bhi ham ne khail ye haara hua to hai
Woh jaane, us ko khair khabar hai bhi ya nahi
Dil ham ne us ke naam pe waara hua to hai
Paaon mein naa-rasaii ka ik aablaa sahi
Is dast-e-gham mein koyee hamara hua to hai
Us be-wafaa se ham ko ye nisbat bhi kam nahi
Kuch waqt ham ne saath guzaara hua to hai
Apni taraf uthay na uthay us ki chasham-e-khush
‘Amjad’ kisi ke dard ka chaara hua to hai