how to loose fat from

Re: how to loose fat from

Haath ko seedha kar kay ghumain yani bhar nikal kar mera mutlub kundhon say bahar nikal kar na rakh dijaay ga warna yahan flooding kon karay ga.

Haath ko sir kay uper seedha kar kay ghumain yani baray baray jitnay bhi baray ho sakain circle banain. Khud na ghoomnay lug jaiaay ga. Warna apnay pingui wazan say chakra kar gir parain gi to aap ko kon utha sakay ga.

Aap phir mujhay is jurm main ban na karwa dain.

Haath ko chukki jis tarha chalatay hain us tarha ghumain. Khialon main chukki pay ata peesain aur saray GS user ko muft faraham karay hamaray pait say nikli dua say aap ki mahnat ka asar ho ga aur aap kay haath na sirf putlay hon gay balkay itni raftar say flooding karain gay kay hum sub us main bah kar kaheen door ja niklain gay.

Benazir, Altaf hussain aur siyasat danon ki tarha taqreer karain ghar kay afrad lutf undoz hon gay aur aap ko ghar ka sadar bhi bana dain gay aur aap kay haath bhi mis world ki tarha ho jain gay.

Sub guppion say duain lain sub say kar amad har mamlay main duain hoti hain. Ghar main sub ko khsuh rakhnain ki koshish karain aur kahain kay sub dua karon hamaray bazoo Ashwaria raay ki tarha ho jain.