hosh walon ko khabar kiya bekhudi kiya chez hai.

**hoshwaalon ko khabar kya bekhudii kya chiiz hai
ishq kiijie phir samjhie zindagii kya chiiz hai

unse nazar kya milii roshan fizaaen ho gaiin
aaj jaana pyaar kii jaaduugarii kya chiiz hai

khultii zulfon ne sikhaaii mausamon ko shaayarii
jhuktii aankhon ne bataaya maikashii kya chiiz hai

ham labo.n se kah na paae unse haal-e-dil kabhii
aur voh samjhe nahiin yeh khaamoshii kya chiiz hai **

Re: hosh walon ko khabar kiya bekhudi kiya chez hai.

kehna chahiye tha :emmy:
wo koe psychiatrist nahi hai k khud samajh jayegi