hosh vaalon ko khabar kya bekhudi kya cheez hai
ishq keejiye phir samajheeye zindagi kya cheez hai
un se nazarein kya milii raushan fizaayein ho gayin
aaj jaana pyaar ki jaadugari kya cheez hai
khulti zulfon ne sikhaayi mausamon ko shaayari
jhukati aankhon ne bataya maikashi kya cheez hai
ham labon se keh na paaye un se haal-e-dil kabhi
aur vo samajhe nahin ye khaamoshi kya cheez hai
by Nida Fazli