Hosh jab hamaiN kuch kuch aanay lagi

Hosh jab hamaiN kuch kuch aanay lagi
Tab umr hi apni larkhraanay lagi

Rahi quwwat bhi na peenay ki jab baaqi
Jaam saaqi bhi mera tab laanay lagi

Tharthraata hai taareekh ka jism
Hawa main bu-e-lahu phir say aanay lagi

AankhoN main nafrat liyay junooN ka daur
Raqs main hai wahshat,nafrat gaanay lagi

Jism kahay hai yaadoN main chalo
Rooh magar farad kay geet gaanay lagi

Re: Hosh jab hamaiN kuch kuch aanay lagi

Very nice :k:

Re: Hosh jab hamaiN kuch kuch aanay lagi

thx prince