Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahee imkaan janaan
Yaad kya tujh ko dilaayain tere paimaan janaan
Yun hi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya hai
Kis qadar jald badal jaatay hain insaan janaan
Zindagi teri ataa thee so tere naam ki hai
Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan janaan
Dil yeh kehta hai ke shayad ho fasurda tu bhi
Dil ki kya baat karain dil tu hai nadaan janaan
Awwal-awwal ki muhabbat ke nashe yaad tu kar
Bepeye bhi tera chehra thaa gulistan janaan
Aakhir aakhir tu yeh aalam hai ke ab hosh nahee
Rag-e-minaa sulag uthtee ki raag-e-jaan jaanan
Mudattoon se yeh alam na tawaqqoo na umeed
Dil pukaare hi chala jaata hai janaan janaan
Hum bhi kya sada thay hum ne bhi samajh rakha thaa
Gham-e-dauraan se juda hai gham-e-janaan, janaan
Ab ke kuch aisi saji mehfil-e-yaraan janaan
Sar-ba-zaanu hai koi sar-ba-girebaan janaan
Har koi apni hi awaaz se kaanp uth’ta hai
Har koi apne hi saaye se hiraasaan janaan
Jis ko dekho wohi zanjeer-ba-paa lagta hai
Shehar ka shehar huwa daakhil-e-zindaan janaan
Ab tera zikr bhi shaayad hi ghazal mein aaye
Aur se aur huway dard ka unwaan janaan
Hum ke roothi huwi rutt ko bhi manaa letay thay
Hum ne dekha hi na thaa mausam-e-hijraan janaan
Hosh aaya tu sabhi khwaab thay raiza raiza
Jaise urrtay huwe auraaq-e-pareshaan janaan