honton ko larazney se roka hota

Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai
Tu nay hontoo ko larznay say tou roka hota,

bay niazi say, magar kanptey awaz k sath,
Tu nay gabhra k mera naam na pocha hota,

tere bas me thi agar mashal-e-jazbaat ki loo
tere rukhsar me gulzar na bharka hota

u to mujh se hoin sirf ab-o-hawa ki batein
apne tootey hoe fikroon ko to parkha hota

younhi be wajha bhataknay ki zarorat kiya thi,
Dam-e-rukhsat mai, agar yaad na aaya hota,

tera ghamaz bana khud tera andaz-e-kharaam
dil na sambhala tha to qadmoon ko sambhala hota

apne badle meri tasveer nazar a jati
to ne is wat agar ayina dekha hota

            Hosla tujh ko na tha mujh say juda honay ka,
            Warna kajol teri ankhon me na phela hota

Re: honton ko larazney se roka hota

Wah jee kia baat hai...

Re: honton ko larazney se roka hota

thnks ahmi :)

Re: honton ko larazney se roka hota

apne badle meri tasveer nazar a jati
to ne is wat agar ayina dekha hota

v.nice....

Re: honton ko larazney se roka hota

bohat khoob

Re: honton ko larazney se roka hota

Wah wah.

Re: honton ko larazney se roka hota

In same Zameen I say:

Aa Ke Sajjada Nashin Qais Hua Mere Baad
Main Nah Hota to Phir Qais kyon Paida Hota

(Funny)

Aadmi Ho ke Bhi Kuch Kaam Na Aaya Mere
Mein Dua Karta Hoon Kaash Wo Khota Hota :)

Re: honton ko larazney se roka hota

Buhat Achchay :~)

Re: honton ko larazney se roka hota

bohat aala very nice..

Re: honton ko larazney se roka hota

thnks all of u :)