Hoey meharbaan meri piyas per, kai hont burg-e-gulab say
teray gham nay mujh ko bacha liya, nai chahatoon kay azaab say
Unhain dil ki jaib main dal ker, main rakhoon sambhaal sambhaal ker
jo mili hain chand amanatain, mujhay apnay ehd-e-shabab say
kabhi der garajti ghataon ka, kabhi khauf garm hawaoon ka
yay duaa karo kay juda na ho, koi kheema apnay tanab say
jo laga tha zakham na bher saka, main koi ilaj na ker saka
hoa dil figar main kis qadar, teray aik talkh jawab say
yay ajeeb say hai muamla, nazar aaey mujh say wohi khafa
hoa naam jis ka nagar nagar, meray ishq-e-khana kharab say
na woh rang tha na woh raat thi, na woh geet that na barat thi
meri neend bhi gai raigaan, mujhay kiya mila meray khuwab say
woh gai rutoon kay udaas din, jo Qateel kat gaey piyar bin,
tu kahay to un ko naikal doon, teri zindagi kay hisaab say