dil usay dekh k heraan bhi ho sakta hai
jurm aesa hai k chaalaan bhi ho sakta hai
kehkahaa maarna acha nahi is toand k saath
is tarha aapka nuksaan bhi ho sakta hai
kya zaroori hai k wo gham mein lahuu hi thookay
us k munh mein to koi paan bhi ho sakta hai … ![]()
tere inqaar say dil hi nahi tootay ga mera
is se behra to mera kaan bhi ho sakta hai … ![]()
mar bhi sakta hai kisi waqt ye BUSH ka bacha
jootiyan kha k musalmaan bhi ho sakta hai
dekh kar mujko bohot naak charhaata hai koi
ye naey ISHQ ka imkaan bhi ho sakta hai … ![]()
us haseena ko hai shopping ka bohot shoq AZIZ
ishq mein jayb ka nuqsaan bhi ho sakta hai