Re: Ho Sakay To II
These are the all shairs Being Lonely shared in my Thread Ho Sakay To
Dard Se Liptay Shair
Mein aik Aansoo hi sahi, hoon buhut Anmol magar
Yoon na Palkon sey gira kar Mujhey matti mein mila
zakham hi khoolney ayi hai tu ojlaat kasi?
chooh merey jism ko,ay bad-e-saba! aahistaa
ab jis ke jee mein aye wohi roshni paye
hum ne toh dil jala ke sar_e_aam rakh diya
Yeh Chand Lamhay Jo Guzray Teri Rafaqat Mein
Na Janay Kitne Baras Mere Kaam Aayen Ge
Ye kyaa keh sab say bayaan dill kee haalatain karni
Faraz, tujh ko na aayeen mohabbatain karni
ye asmaan WALA he akhir kabhi baatayega
key wafa shu'aron ka hasil q hey tanhayi
nahi hai taab to phir aashiqui ke rah na chal
ye karezaar e janoon hai, jiger nikal ke rakh
Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do
Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do
Bohat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do
Yeh aur baat hai dushman hoa hai aaj magar
woh mera dost tha kal tak usey bora na kaho
Woh Juda Bhi Kaisay Huwa, Main Koi Rasm Bhi Na Nibha Saka
Woh Hansi Hansi Mein Hi Chala Gaya Mein Hath Tak Na Hila Saka
ye kon is qadar mujhe weeran kar gaya
jhaankoon jo apnay aap mein sehraa dikhayi de
Aalam-e-Zaat mein darwaish bana deta hai
Ishq insaan ko pagal nahi hone deta..........!
Ansoo nikal pade tu meri laaj reh gai
izhar-e-gham ka warna saleeqa na tha mujhe
yoon to pehle bhi huwe us se kaee baar juda
lekin ab ke nazar aate hain kuch aasaar juda
gar gham e sood o ziyaan hai to thehar ja aye dil
ke ussi mor pe yaaron se huwe yaar juda
YEHI MIZAAJ APNA HEY KE KISI KA DIL NA DUKHE
JUDAIYON KO BHI CHAHA HEY....QURBATON KI TARHA
Tum huay duur to yeh raaz khula
Ab hamein zindagi se pyar nahin
Zarkheiz zameenein kabhi banjar nahi hotiin
Darya he badal laitay hain rasta,usay kehna
Aas k hoontoon pe pipri si jami hai naheed
Khoob khaya hai tamana ne wafa ka dhoka
Aey khuda mujhey thori si zindagi de dey,
udaas mere janazey se ja raha hai koi
Tanha samajh raha hay mairay dil ko Chara gar
Dunyaa basi hay is main kissi kay khayaal ki
Mai hoon taqdeer ki zulmat mai musafir Tanha
Roshni ho to kahin apna hi saya dekhon
Ek Faraz Tumheen Tanha Ho Jo Aab Tuk Dukh Kay Rasiaa Ho
Warna Aksar Dill Waloon Nay Darad Ka Rasta Chor Diya Hay
Tere bina jeena aasan nahin
Humare milne ke ab koi imkaan nahin
Bus itna samajh le ke tere bina
Mein woh jism hoon jis men jaan nahin
Ik dard ka phaila hua sehra hai k main hoon !
Ik mauj mein aaya hua darya hai k tum ho !
Jaane walay tu khair kya aata
haan magar dard laot aaya hai
Marnay Ke Liye Dard Ki Raat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
khudh ko hasti say tu beygana bana sakti hoon main
bholnay walay tujhay bhi kya bhula sakti hoon main
Ghum ki woosatoon ko kaun dekhay aur kyoon
inteha-e- dard main bhi muskura sakhti hoon main !!
Khud-kushi tak haraam hey yaani
ye bhi mumkin nahi ke mar jaao