ho jatay hain

Jab Log Juda Ho Jatey Hain
Sab Ehad Hawa Ho Jatey Hain

Jab Niyat Theek Na Ho Apni
Sab Amal Gunaah Ho Jatey Hain

… Jab Tere Baarey Mein Sochein
Sab Lafz Dua Ho Jatey Hain

Jab Ghurbat Dar Pe Dastak Dy
Sab Yaar Khafa Ho Jatey Hain

Jab Waqt Dikhata Hai Ankhein
Sultan Bhi Gada Ho Jatey Hain

Tu Jab Bhi Mere Sath Na Ho
Tehwar Saza Ho Jatey Hain

Jab Nafrat Lafzon Mein Utrey
Tab Apne Juda Ho Jatey Hain…!!

Re: ho jatay hain

Umda sharing.. Sare ash'ar ache hain :)

Tu Jab Bhi Mere Sath Na Ho
Tehwar Saza Ho Jatey Hain

16 aane sahi baat :(

Re: ho jatay hain

aanay hotay hain aaj kal kia :konfused:

Re: ho jatay hain

Kal hi to tum ne 8 aane udhaar mange the :sannan:

Re: ho jatay hain

main ittni choti raqam udhaar naheen mangta hoon :sannan:

Re: ho jatay hain

ap yahan sub ko aany bant rahy ho :konfused: