Ho gai jab raat, dil ke kar liye sab band dar
Andar aanay ka koi rastaa na aata tha nazar
Reh gai lekin na janay kis tarah ankhain khuli
Thaa sitamgar bhi koi baitha mauqa taak kar
Chupkay chupkay, holay holay, raat ke pichlay pehar
Dil ke andar agaya ankhon ka rasta dekh kar
Jab hua khatka tau mein jaagi, haqeeqat tab khuli
Khauf taari hogaya andar ka manzar dekh kar
Kuch samajh aata na tha mein kia karoon jaoon kidhar
Dil ne holay se kaha, “chupkay se ankhain band kar”
Band aankhain kar ke mein kuch mutmaeen hogai
Aur aanay walay se boli, bila khauf-o-khatar
“Raat ki tanhai mein aye thay dil ko lootnay
Hogaye ab qaid batlao keh jao gae kidher?”