Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho

**
Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho**
to samnay rahay teri pehchan bhi na ho

maana k umer bhar tu mera ho nahin saka
aisa bhi kia k tu mera mehman bhi na ho

aaghaz is safar ka karain aao mil kay ham
jis main kahin bicharnay ka imkaan bhi na ho

ho jay jo bhi hona hai aisa na ho kabhi
is dil main tery milnay ka arman bhi na ho

han or qadam pay khoof hai yahan har qadam pay gham
dil kay nagar ka rasta sunsaan bhi na ho

har baar pochta hai kay akhir hai baat kia
hamdam kisi ka itna to anjaan bhi na ho

ye qufal dil kaleed e muhabbat say khol do
aisa na ho kay phir kahin Imran bhi na ho.

Re: Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho

umdah