**Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
to samnay rahay teri pehchan bhi na ho
maana k umer bhar tu mera ho nahin saka
aisa bhi kia k tu mera mehman bhi na ho
aaghaz is safar ka karain aao mil kay ham
jis main kahin bicharnay ka imkaan bhi na ho
ho jay jo bhi hona hai aisa na ho kabhi
is dil main tery milnay ka arman bhi na ho
han or qadam pay khoof hai yahan har qadam pay gham
dil kay nagar ka rasta sunsaan bhi na ho
har baar pochta hai kay akhir hai baat kia
hamdam kisi ka itna to anjaan bhi na ho
ye qufal dil kaleed e muhabbat say khol do
aisa na ho kay phir kahin Imran bhi na ho**
Re: Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
**maana k umer bhar tu mera ho nahin saka
aisa bhi kia k tu mera mehman bhi na ho
Mehmaan nawazi ka itna shoq kiyun hai aap ko?
**
Re: Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
Mehmaan to ALLAH ki Rehmat hoty hyn…
Mahmaan Nawazi krny mein kia bura`e hy…?
Khass tor pay Unki Jinsy Mohabbat ho…
Re: Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
Dany Dany Pay Likha hy Khanay walay ka NAAM…
Re: Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
jo khud chala jae uski talash jari rakhna, usse dhoondte rehna, apne paas (kuch der ke liye hi) dekhne ki aarzoo karna sirf takleef deta hai aur kuch nahin
Re: Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
Khuda ki raah main de den jo izafi hai
Kinzz
January 6, 2013, 7:22pm
7
Unki mehman nawazi unke life partner ke sath karni per jaye tou
Re: Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
Na Milny sy bhi isi terhan ki TakaLeef hoti hyn…
Saamny ho to Kuch waqt k liya ye ehsas kam ho jata hy…?
Re: Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
No Problem…kisi k liya Dil mein Bughz nhi rakhta
Kinzz
January 6, 2013, 7:26pm
10
Yeh situation imagine karne ke liye hi bara dil chahiye
Re: Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
Waqt k saath ye Hunar aa jata hy…
Re: Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
INSHAALLAH…
Re: Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
bichra huwa ek baar mil jae.. to usse phir se khona pehli bar khone se ziada takleef deh hota hai
Re: Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
Shub Shub bolen
Is mein Chin`ta wali bhi koi baat nhi…
Re: Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
shayad…agar who akayla ho to…
Agar koi shareek-e-safar saath ho to…nhi hota
Kinzz
January 6, 2013, 7:35pm
17
Jo aik bar bichar Gaya wo dubara milay hi kyu?
Re: Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
wo kehte hain na jisse ek baar mehboob maan lia jae usse dosre rishte ke tor per qabool nahin kia ja sakta.. to phir azziyat kiyun de apne aap.. haan kabhi kabhar kuch rishte jin ko hum muhabbat samajh bethte hain aur paa nahin sakte, un se milne main koi muzaiqa nahin
Re: Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
na hi mile to acha hai.. per shayad kuch log tajasus main milna chahte hain, dekhna chahte hain hain ke wo kaisa hai ab.. kis haal main hai.. hum se alag ho kar khush hai bhi ke nahi
Re: Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
Nice…lykin
hatmi kuch nhi…