Ho bhi sakta hay...

Teri aankhoN main meray dil naqsha ho bhi sakta hay
Jisay deewar samjha hay woh, wo rasta ho bhi sakta hay

Zamana ghor say dekhay, jisay is nay khuda samjha
Woh iskay hath ka pattha tarasha ho bhi sakta hay

Nazar say door reh kar bhi kisi soch main rehna
Kisi kay pass rehnay ka tareeqa ho bhi sakta hay

Woh apni sard mohri say mujhay had main to rakhta hay
Mera had say guzarnay ka irada ho bhi sakta hay

Bhari dunya ka mela sath ho to konsi mushkil
Magal ik shakhs melay main akela ho bhi sakta hay

Ye seedhi rah par chalna kahan say seekhh aye ho?
Ye rasta dosti ka hay, ye Tairha ho bhi sakta hay

Main apnay jism-o-jaan ko sath rehtay dekh kar samjha
Nibhaana ho jisay mushkil, wo rishta ho bhi sakta hay

Machalta Thokarain khata huwa paani ka ik dhaara
Teray dil tak pohonchnay ka bahana ho bhi sakta hay

Nikal kar band kamray say, zara baazaar main aao
Agar tum daikhna chaho, tamasha ho bhi sakta hay!

Re: Ho bhi sakta hay...

Nazar say door reh kar bhi kisi soch main rehna
Kisi kay pass rehnay ka tareeqa ho bhi sakta hay

Woh apni sard mohri say mujhay had main to rakhta hay
Mera had say guzarnay ka irada ho bhi sakta hay

waaah g kia kahnay!

Re: Ho bhi sakta hay...

wah wah maza aya parh kar :)

very nice :k:

Re: Ho bhi sakta hay...

bahot khuub

Jisay Dewaar samjha hai Woh Rasta Ho Bhee Sakta Hai....................

Tu phir kiya sabit howa rasta ya dewaar:)

P.S Nice Choice:)

Re: Ho bhi sakta hay...

buhat khoob..

Re: Ho bhi sakta hay...

**Nazar say door reh kar bhi kisi soch main rehna
Kisi kay pass rehnay ka tareeqa ho bhi sakta hay

Woh apni sard mohri say mujhay had main to rakhta hay
Mera had say guzarnay ka irada ho bhi sakta hay**

awesome ...mujhay lagta hay shaid yeh main bhi post ker chukee hoon ya perh chukee hoon

behrhal perh ker bohat maza aya : )

Re: Ho bhi sakta hay...

superb....