hmmm

Kash K Zindagi main who muqaam aa jaye
Mujhe Rab ki Taraf se Yeh pegham aa jaye

Bata Bande tujhe kia aisa atta karon main
Jis se tere Dard ko Araam aa jaye

Main Sochta hoon k kia mangoon ga
Khushi or Sukh ka Dariya mangoon ga

Wo khushi Jis se gher main ujala ho jaye
Wo khushi jo meri zaat ka hawala ho jaye

Wo Haath lota de jis main mera bachpan guzra
Jis ka pyar main jism main laho ban kar utra

Thak kar hamesha jis ki good main soya
Har kar Duniya se jis k aanchal main roya

Wo Maa hai jis ne her Ranj or Alam se Bachaya
Teez Dhoop main jis ka wajood aik naram saya

Who jis ne Hanste Hanste her Ghum Uthaya
Kitna Mehrban hai Who Rab jis ne Maa ko Banaya

Who Maa jis k qadaoom main hai Jannat
Her Kammiyabi hai jis ki marhoon e Minat

Who Maa hai jis se hai Duniya ka Meela
Who Maa Chor Gayi Hum ko Akela

Mujh per apni Rehmatoon ki Hadh na karna
A Mere Rab Meri yeh Duaa to Rad na Karna

Mujhe Khushiyoon ki who Kehkashaan Lota De
Aey Merye Allah Mujhey Meri Maa Lota Dey

Re: hmmm

:lajawab: Maa tujhe salam :salute:

Re: hmmm

lot,ta hi to nahi WO BACHAPAN:teary1:

Re: hmmm

heart touching, beautiful sharing.

Re: hmmm

beautiful. :k:

Re: hmmm

very very beautiful :k: