Meri wafa Kay Taqaazay To Qalb-o-Jaan Tak Hain,
Mujhay Bata Kay Iraaday Teray Kahan Tak Hain.
Teray Khayal Ki Khushbu Kay Sath Jaein gay,
Hajoom-e-Dard K Rastay Jahan Tak Hain.
Hamaray Baad Khuda Janay Kaisa MANZAR Ho
Hm Aftab Hain aur Sham Ki Azaan Tk Hain…