Himmat karne waalon ki haar nahi hoti
Lehreon se darker naiya paar nahi hoti [naiya=boat]
Nanhi cheenti jab dana lekar chalti hai
Chadti deewaroon par sau baar fisalti hai
Mann ka vishwas rago mein sahas bharta hai [vishwas=faith]
Chad ke girna, gir ke chadna naa akharta hai [akharta=hurt]
Aakhir uski mehnat bekaar nahi hoti
Koshish karne waalon ki haar nahi hoti
Dubkiyan sindhu mein gotakhor lagata hai [sindhu=sea]
Ja ja kar khaali haath laut aata hai
Milte na hi sahaj moti paan mein [sahaj=easy]
Badta doona utsah har baar isi hairaani mein [utsah= interest]
Mutthi khaali uski har baar nahi hoti
Himmat karne waalon ki haar nahi hoti
Asafalta ek chunouti hai sweekar karo [Asaflta=failure, chunouti=challenge, sweekar=accept]
Kya kami reh gayi, dekhi aur sudhaar karo [sudhaar=improve]
Jab tak naa safal ho, neend chayn tyago tum [safal=success, tyago=relinquish]
Sangarh karo maidan chor mat bhaago tum [Sangarsh= struggle]
Khuch kiye bina hi jai jai kar nahi hoti [jai jai kar=zindabaad]
Himmat karne waalon ki haar nahi hoti
BY- harivansh rai "bacchan"