himmat-e-iltija nahin baaqi
zabt kaa hausalaa nahin baaqi
ik teri deed chhin gai mujh se
varna duniyaa main kya nahin baaqi
apni mashq-e-sitam se haath na kheench
main nahin yaa vafaa nahin baaqii
teri chashm-e-alam_navaaz ki Khair
dil main koi gilaa nahin baaqi
ho chukaa Khatm ahad-e-hijr-o-visaal
zindagi main mazaa nahin baaqi