Hijr Mushkil Tha Bazahir Magar Aasaan Sa Tha..

Woh Tabassum Jo Meyree Jan Tha, Bay Jan Sa Tha,
Mein Samajhtha Tha Jisay Pyar, Wo Ehsan Sa Tha.

Derd Bhi Meyra Wohi Tha, Meyra Derman Bhee Wo,
Jo Meyra Ho K Bhee Meray Liyay Anjaan Sa Tha.

Janay Kyuon Os Ki Parastish Ko Meyra Jee Chaha,
Dejhnay Mein Jo Her Andaz Se Insaan Sa Tha.

Os K Chehray Pe Numayaan Wo Ghazalee Aankhain,
Meray Deewan Pe Likkha Hoa Unwaan Sa Tha.

Meyray Bahar Ki Fiza Mein Thee Ajub Khamoshi,
Meyray Ander Koee Uth-Ta Hoa Toofan Sa Tha.

Meyray Aanay Say Jo Lagta Tha Pareshaan Bohat,
Mein Ne Jatay Hoay Dekha To Pashaiman Sa Tha.

Wasl Aasaan Sa Lagta Tha Magar Tha Mushkil,
Hijr Mushkil Tha Bazahir Magar Aasaan Sa Tha

Jo Musalma’n Thay Bazahir Wo Faqat Naam K Thay,
Aik Insaa’n Keh Jo Kafir Tha, Musalman Sa Tha.

Mei’n Qamar Tha To Wo Mahnoor Ada Tha Meyra,
Un-Kaha Sa Koee Hum Donoo’n Mei’n Paimaan Sa Tha

(Qamar Abbas Zaidi)

Re: Hijr Mushkil Tha Bazahir Magar Aasaan Sa Tha..

Wasl Aasaan Sa Lagta Tha Magar Tha Mushkil,
Hijr Mushkil Tha Bazahir Magar Aasaan Sa Tha

Very nice!!

Re: Hijr Mushkil Tha Bazahir Magar Aasaan Sa Tha..

thanks

Re: Hijr Mushkil Tha Bazahir Magar Aasaan Sa Tha..

welcome RI...nice Ghazal sharing...

aaye ho waqt-e-subH, rahe raat bhar kahaN?

kahaN Ghaayab the itne dinoN se, janaab?

Re: Hijr Mushkil Tha Bazahir Magar Aasaan Sa Tha..

:slight_smile:

Re: Hijr Mushkil Tha Bazahir Magar Aasaan Sa Tha..

:welcome: back redidentity
Where have you been??
Remember me?

Re: Hijr Mushkil Tha Bazahir Magar Aasaan Sa Tha..

Right back at ya :slight_smile:

Re: Hijr Mushkil Tha Bazahir Magar Aasaan Sa Tha..

its my Multi :slight_smile: