hijr ke lamhe zakhmi zakhmi

raat ki zulfeiN marham marham
dard ki lou hai madham madham

mere qissay galiyoN galiyoN
tera charcha aalam aalam

paThar paThar ishq ki raateiN
husn ki baateiN resham resham

aik jiza hai jannat jannat
aik khata hai aadam aadam

aik azaab hai basti basti
aik sada hai matam matam

saari laasheiN Tukre Tukre
saari aankheiN purnam purnam

hijr ke lamhe zakhmi zakhmi
uss ki yaadeiN marham marham

daad talab ejaz asmat
eesaa eesaa, maryam maryam

Mohsin “hum akhbar mein gum haiN”
safah safah, kaalam kaalam

Re: hijr ke lamhe zakhmi zakhmi

Mohsin “hum akhbar mein gum haiN”
safah safah, kaalam kaalam

now this is really wonderful line :k:

Re: hijr ke lamhe zakhmi zakhmi

Nice poetry FAri:k:

Re: hijr ke lamhe zakhmi zakhmi

Sunday ka akhbaar hoga :D

Re: hijr ke lamhe zakhmi zakhmi

:k: