hidaayat-naama baraaye she'r_goii-----az DaaGh Dehlavii

Re: hidaayat-naama baraaye she’r_goii-----az DaaGh Dehlavii

thank you Muqwee Bhai…

…aajkal sab se awwaleeN tareen nuqs-e-shaa’irii izaafat aur vaao 'ataf (connectivity and linkage rules) 'aam ho rahaa hai aur is laGhzish ke naamvar sho’araa murtakib huye haiN, ho rahe haiN aur hote raheNge kiuN k zabaan tanazzulii kaa shikaar hai aur ham use qubool kiye baiThe haiN.

abhii Haal meN hii maiN ne GS par ek nazam Parveen Shakir kii dekhii jiskaa 'unvaan thaa “TEVHAAR-e-EID”…yahaN izaafat Ghalat hai kiuN k zabaan kii sarf o naHv kii roo se izaafat sirf aur sirf Arabii aur Faarsii alfaaz ke maa_bai’n hii jaa’iz hai. tevhaar chuN k Hindi kaa lafz hai is liye yeh izaafat Ghalat hai aur yeh shaa’irii kaa bunyaadii nuqs hai.