salaam dosto,
ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Kahir hoNge.
me’yaarii she’r_goii koii kaar-e-aasaaN nahiiN. iske liye ek ustaad kii zaroorat huaa kartii hai jo aaj ke daur meN har ek ubharte huye shaa’ir ko moyassar nahiiN…'aam taur par she’r_goii meN kuchh naqaa’is, KhaamiyaaN aur kamiyyaaN dar_pesh huaa kartii haiN jinkii taraf is nazam [ba_soorat-e-hidaayat-naamah] meN Ustaad DaaGh Dehlavii ne ishaarah kiyaa hai…agar nau-mashq sho’araa in nikaat par dhayaan deN to unkii shaa’irii yaqeenan in naqaa’is se mubarra ho saktii haiN…
wow. I missed it earlier. Nice sharing KKF
thank you Muqwee Bhai...
...aajkal sab se awwaleeN tareen nuqs-e-shaa'irii izaafat aur vaao 'ataf (connectivity and linkage rules) 'aam ho rahaa hai aur is laGhzish ke naamvar sho'araa murtakib huye haiN, ho rahe haiN aur hote raheNge kiuN k zabaan tanazzulii kaa shikaar hai aur ham use qubool kiye baiThe haiN.
abhii Haal meN hii maiN ne GS par ek nazam Parveen Shakir kii dekhii jiskaa 'unvaan thaa "TEVHAAR-e-EID"...yahaN izaafat Ghalat hai kiuN k zabaan kii sarf o naHv kii roo se izaafat sirf aur sirf Arabii aur Faarsii alfaaz ke maa_bai'n hii jaa'iz hai. tevhaar chuN k Hindi kaa lafz hai is liye yeh izaafat Ghalat hai aur yeh shaa'irii kaa bunyaadii nuqs hai.
...aajkal sab se awwaleeN tareen nuqs-e-shaa'irii [izaafat aur vaao 'ataf (connectivity and linkage rules) 'aam ho rahaa hai aur is laGhzish ke naamvar sho'araa murtakib huye haiN, ho rahe haiN aur hote raheNge kiuN k zabaan tanazzulii kaa shikaar hai aur ham use qubool kiye baiThe haiN.
abhii Haal meN hii maiN ne GS par ek nazam Parveen Shakir kii dekhii jiskaa 'unvaan thaa "TEVHAAR-e-EID"...yahaN izaafat Ghalat hai kiuN k zabaan kii sarf o naHv kii roo se izaafat sirf aur sirf Arabii aur Faarsii alfaaz ke maa_bai'n hii jaa'iz hai. tevhaar chuN k Hindi kaa lafz hai is liye yeh izaafat Ghalat hai aur yeh shaa'irii kaa bunyaadii nuqs hai.
Thanks for sharing. learned a lot from this thread