humein yoon maloom hota hai keh shayed kisi ne humein yahan yaad farmaya. Hamari hichki hai keh janay ka naam hi nahi leti.Wo koun hain jin ko hamari yaad is qadr sata rahe hai. Hum bhi tou dekhein.
Agar aap soch rahe the keh hum kahan ghayab the tou aap ki maloomaat ke liye hum aap ko bata dena chahtay hain ke hum apni choothi bevi ki phupphi ke beti ke haan rehayesh pazeer the.Choonkeh humein phupphi ke beti pasand aa gayein tou hum ne un say nikah ka riada farmaya magar Molvi sahab ne arz kiya keh hum mazeed shadiyan nahi kar saktay. Tou hum wahan keyaam farma ke apni kisi begum ke intekaal ka intezaar farmatay rahe. Ab intezzar hai keh koi is duniya say rukhsat farmayein tou hum dobara nikah farmayein
ps: kaneezoon ko bula bhejiye. Humara raks dekhnay ka bohat dil hai.Aur badshah salamat ka dil tornay wale ko hum sakht saza dete hain