Re: "Hi" not "Salam"
Even though, I do it all the time, I would still like to know why we usually say 'hi' rather than 'salam'?
Seriously, Our culture is fading away... :/
Bohat achcha sawal uthaya hai aap nain Cute.
Main to kabhi hi naheen kahti haan sirf uf waqt jub pata chal jaay kay non-muslim hai. Waisay main ghalti main non-muslim ko bhi salam kar daiteen hoon adat jo hai salam hi karnay ki.
Haan sirf salam bhi naheen kahna chahyay kaheen iska zikr naheen hai quran main.
Assalam o Alaikum Kum uz kum kahna chahyay is say 10 naikiaan milteen hain.
Assalam o Alaikum wa rahmatullah kahnay say 20 naikiaan milteen hain.
Assalam o Alaikum wa rahmatullahi wa barakatahu kahnay say 30 naikiaan milteen hain to kioon na ziada say ziada naikiaan bator lain poora salam kah kar.
Hum sub ko adat dalni chahyay aur aik doosray ko bhi talqeen karna chahyay.
Bohat say log adat bhi kahtay hain yay jaanay kahan say nikal aya hai jis ka naheen kaheen quran main aur na hi hadeeson main zikr hai.
Chund dinon pehlay ki baat hai hum nain aik tv main aksar ateen hain aur pehlay toronto say radio programme bhi karteen theen hum nain unko phone kia kay aap adab kah raheen theen to adab naheen kahna chahyay phir kia tha unka to para hi hai ho gia kahnay lageen kay hum multi cultural mulk main rahtain hain hamain sub ka khiaal rakhna hota hai blaah blah blah......... or phir phone rakh dia.
Abhi mujhay unka naam yaad naheen aaa raha kafi kuch karti hain. Accident claim bhi ziada say ziada dilwateen hain. Aid dramay main pagal ka kirdar bhi kia tha.
Hum yay poochtain hain wo adab namastay aur sat sri akal to bilkul unkay hi tarha kahti hain jistarha hindu aur sikh kahtay hain to phir wo musalmaan ho kar musalmanon ki tarha Assalam o Alaikum kioon naheen kahteen?
Multi cultural mulk main rah kar kia apnay mazhab ko billkul khair baad to kahnay ka kaheen hukm naheen hai. Balkay Islam to har haal main pakr'ay rahanay hai khuwaah jahan bhi rahain.
Kum uz kam Assalam o Alaikum kaha karain sirf salam naheen.