EEMAAN
1
ab koi herf e dua kaam nahi aay ga
ab woh mehtab sar e baam nahi aay ga
ab dhalay ga na kabhi hijr ka jalta sooraj
ab kabhi wasal ka hangaam nahi aay ga
jaa key us koochay mai yunhi palat aain gay
waqt e rukhset koi do gaam nahi aay ga
us ki galion mai hamain koi na pehchany ga
koi taana koi dashnam nahi aay ga
dil key darwazaiy per dastak nahi day ga koi
koi naama koi pegham nahi aay ga
magar aey bad e saba us say yeh jaa ker kehna
is kahani mai koi naam nahe aay ga
buhat khoobb
breakfast kar raha tha aap ka kalam parha nashta karnay main maza agaya ahahahhaah bye nice one haan
Re: Herf e Dua
{{magar aey bad e saba us say yeh jaa ker kehna
is kahani mai koi naam nahe aay ga}}
Wah, wah......simply great! EEMAAN thanks a lot for sharing.
Sannan
6
Re: Herf e Dua
**Zabardust eemaan .....
Inn Baykhawab kawaroon ko muqaful kar lo
Aab yahan koi naheen koi naheen aay ga****
Re: Herf e Dua
welcome on gs nice starting
reet
10
Re: Herf e Dua
wah..bahot khoob......thnx for sharing......!
Re: Herf e Dua
ab dhalay ga na kabhi hijr ka jalta sooraj
ab kabhi wasal ka hangaam nahi aay ga
nice
EEMAAN
14
Re: Herf e Dua
himmat afzai ka buhat shukria.
Re: Herf e Dua
Buhat khoob Eeman,,,very nice,,
Re: Herf e Dua
uuffffffffffffffffffffffffff khudaya