*Shaam hoti hai, sehar hoti hai, yea waqat-e-rawan *
Jo kabhi mere sar pe sang-e-garan ban ke girra
*Raah main aya kabhi meri Himala ban kar *
Jo kabhi aqda bana aisa ke hal hi na huwa
*Ashaq ban kar meri Aankhon se kabhi Tapaka hai *
*Jo kabhi Khoon-e-jigar ban ke mizhgan par aya *
*Aaj be-waasta youn guzra chala jaata hai *
Jesay main kashmakash-e-zeest main shamil hi nahin.
—