Dania
1
her ajnabi usay aashna sa lagta hai
tera aashiq deewana sa lagta hai
apnaa hi khana-kharab ab hameN
mahal-o-takHt-o-taaj sa lagta hai
haye! tujhsay wafa karnay ka anjaam
lafz-e-wafa bhi bewafa sa lagta hai
tujhe na paaya to saara aalam ab
maanand-e-musht-e-kHaak sa lagta hai
guzar ke teri jafaa’oN ke daur say
har sitamgar meherbaaN sa lagta hai
shiddat-e-tishnagi kuch yuN hai
keh qatra boond ka saagar sa lagta hai
giraftaar-e-ulfat tera hokay
zaahid bhi baada-khwaah sa lagta hai
kaafir ko tujhsay mohabbat ho gayi
ab kaafir bhi musalmaaN sa lagta hai
kHayal-e-anjaam-e-mohabbat aaya
ab her lamha na-muraad sa lagta hai
ullujii
3
Re: her ajnabi usay aashna sa lagta hai
very nice :k: