HEART ATTACK

Dard itna tha ke us raat dil-d-wehshi ne
Har rag-d-jaan se guzarna chaha,
Har bun-e-mu se tapakna chaha
Aur kahin door tere sehan main goya
Patta patta mere afsurda lahoo main dhul kar
Husan-e-mehtab se azarda nazar anay laga
Mere weerana-e-tan main goya
Sare dukhtay howe reshon ki tanabain khul kar
Silsila war pata denay lageen
Rukhsat-e-fasala-e-shoq ki tayyari ka
Aur jab yaad ki bhujhtti howi shamon main nazar aya kahin
Aik pal, akhari lamha, teri dildari ka
Dard itna tha ke us se bhi guzarna chaha
Ham ne chaha bhi magar dil na theherna chaha.