any other ghalib greats you know of?
Re: hazaroon khwahishain aisi..
RagoN maiN dauRtaY phirnaY kaY hum naheeN QaaiL
Jub aaNkh hee saY naa Tapka tau Lahu kiyaa hai
Re: hazaroon khwahishain aisi..
naa thaa khuch to khuda thaa
naa hota khuch to khuda hota
daboya mujhe ko honi ne
naa hota mein to kiya hota
Re: hazaroon khwahishain aisi..
You got the hazaaroun khuwaaishein part right. i actully do have 1000ron khuaashienz.
Re: hazaroon khwahishain aisi..
wah wah.
perfection
Re: hazaroon khwahishain aisi..
Ye ishq nahi aasan itna hi samjh lijiye
ik aag ka dariya hai aur doob k jana hai
ghalib ka hi hai na??
Re: hazaroon khwahishain aisi..
hazaron khawahishein aise ke her khawhish per dam niklay
bohat niklay mere armaan phir bhi kam niklay
Re: hazaroon khwahishain aisi..
Tarz-e-Bay dil maiN Reekhtaa kehnaa
Asadullah Khan Qiyamat hai
Re: hazaroon khwahishain aisi..
Baazeecha-e-Atfaal hai duniyaa meraY aagaY
hotaa hai shab-o-roz tamaashaa meraY aagaY
Re: hazaroon khwahishain aisi..
This is Cafe.
Please move it to Poetry Forum ![]()
hamay mushkil baatein samajh nai aati
Re: hazaroon khwahishain aisi..
AQ
what's Reekhta?
Re: hazaroon khwahishain aisi..
BAS ke dishwaar hai har kaam ka asaan hona
insaan ko bhi muyassar nahi insaan hona
Re: hazaroon khwahishain aisi..
Reekhta = high class language
Reekhtaa kaY ik tum hee ustaad naheeN ho Ghalib
suntaY haiN aglaY zamaanaY maiN koi Meer bhee thaa
Re: hazaroon khwahishain aisi..
hawas ko hai nishaat-e-kaar kiya kiya
naa ho marna to jeeney ka mazaa kiya
Re: hazaroon khwahishain aisi..
har baat pe kehtay ho "tu kiyaa hai"
Tum hee batlaao kaY yh andaaz-e-guftugoo kiyaa hai:)
Re: hazaroon khwahishain aisi..
Tum sub nikkammay ho. aik aik shair laa rahay ho
here. i’ve the whole collection :snooty:
Re: hazaroon khwahishain aisi..
I kept reading dishwaar as dishwasher…
aur mai poochnay wali thi k ghalib kay zamanay mai
ye dish washer kahan say aa gaya…
![]()
That tells you how many bartans I wash on a daily basis ![]()
Re: hazaroon khwahishain aisi..
thi khabar garam ke ghalib ke purzay urain gay
dekhne ham bhi gaye they per tamashaa na hoa
Re: hazaroon khwahishain aisi..
kaaam waaali maai ![]()
Re: hazaroon khwahishain aisi..
Sajal: actually the word is DUSHWAAR :P
haiN kawaakib kuch, nazar aataY haiN kuch
detaY haiN dhokaa yeh baazi gar khulaa :)