Hazaron Abu Jahl

Hazaron Abu Jahl
Raah e Faraasat pe
Dansih e sandooq
sir pe uthae
chale aa rahe hain

Rahguzaron main sehme huwe log
unke fatwon per eemaan laate huwe
unke qadmon main bichhe ja rahe hain

her Abu Jahl ke hathon main
wo aatsheen asaa hai
jis ki aawaz dehshat hai
karb o bala hai

Mere Mabood!
tera ye irshaad hai
ab Payambar nahin aaen ge
phir bata in ko roke ga kon?
aatsheen in ke hathyar chheene ga ab kon?

By: Zehra Nigah

Re: Hazaron Abu Jahl

momin ki quwat e eemani

Re: Hazaron Abu Jahl

Momin bhi shayad sahib e fatwa ke aage himmat ganwa chuke hain :(

Re: Hazaron Abu Jahl

fatway to Dr Allama Muhammad Iqbal pe bhi lagay thy

Re: Hazaron Abu Jahl

fatwon ki fasl to Mansoor Halaaj ke dor se jari o sari hai. main sahi baqi sab ghalat wale Abu Jahl ek mustaqil commodity hai