**Hazaar Raahain muRd kay daikheen
Kaheen say koi sada na aayi
BaRdi wafa say nibhayi tum nay
Hamari thoRdi si baywafayi
Kaheen kisi roz youn bhi hota
Hamrai haalat tumhari hoti
Jo raatain ham nay guzzaari marr kay
Woh raatain tum nay guzzaari hoti
BaRdi wafa say nibhayi tum nay
Hamari thoRdi si baywafayi
tumhain yeh zid thi keh ham bulatay
Hamain yeh umeed woh pukarain
Hai naam hontoun pay abb bhi laikin
Aawaaz mein paRd gayi darraaRain
BaRdi wafa say nibhayi tum nay
Hamari thoRdi si baywafayi**