ahem ahem… arz kiya hay
itnay parhay hain ab kay danday teri galii main:bailan:
armaan ho gaye sabthanday teri galii main
aik haat main hay kangi zulfain sawaartay hain
gharain gay aashki kay jhanday teri galii main
ab kya batain zaalim kaisay guzaartay hain
sunday teri gali main monday teri galii main
seenay par haath rakh kar tujhay pukaartay hain
jab maartay hain pathar munday teri galii main:grumpy:
tarpain hay kitna zaalim tuj ko tars na aya
kar lain gay khudkushi hum one day teri galii main
hum dhoondh lain gay koi deedar ka bahana
becha karain gay ab hum anday teri galii main