Azad
1
Hayaa kay rang jo aa jaa rahay hain
Dilon ko oor bhi bhattka rahay hain
Aanchal sanbhal keh mehek utthi hay fiza
Kuch nazar kay zawi’ay bhi badaltay ja rahay hain
Khelu inta keh kuch to hosh rahay
Sar e shaam say yahi baat hum samjha rahay hain
Hamain maloom yeh sirf jaam ka kamal nahi
saat main nazar say saqii bhi kuch pela rahay hain
Allah … satiya naass ho inn badzooqon ka
Phir Azad ko meeting main lay ja rahay hain 
Allah ............ satiya naass ho inn badzooqon ka
Phir Azad ko meeting main lay ja rahay hain
Allah... shukriya laakh laakh in baqzoqon ka
Kam az kam aap ko yahan say lay tu ja rahay haiN ;)
Azad
4
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Allah ............ satiya naass ho inn badzooqon ka
Phir Azad ko meeting main lay ja rahay hain
Allah... shukriya laakh laakh in baqzoqon ka
Kam az kam aap ko yahan say lay tu ja rahay haiN ;)
[/QUOTE]
janay kiss kiss ki dum hamaray paon ke neechay aa jati hay :D