iss daur-e-khamoshaaN maiN
hay ulfat kee sazaa aisee
jafaa aisee, fizaa aisee
na hongey aisay mehrbaaN iss aalam maiN
kay jaisay loug haiN aur hai dil kee khataa aisee
loug jub bhool jaatay haiN
hummaiN woh aur yaad aatay haiN
jub yaad aatay haiN
kiouN humm ye soch nahiN paatay haiN
kidhar hoN gey insaaN aisay?
mohabbat jin kay aNg aNg say
phoot-tee thee aisay
kay jaisay phool ho koie
shabnam maiN bhigoe kalli aisee
TooT gayaa bharosaa bhee
ho gaie naqaab poshi
jubb apnay hee bhool jaatay haiN
jubb apnay hee dil dukhaatay haiN
choRR kay challay janaa
apnouN ko rakhti hay khush, baat aisee:)
iss daur-e-khamoshaaN maiN
hay ulfat kee sazaa aisee