Hay agarchay Shehar main apni shanasayi bohat
phir bhi rehta hay humain ehsaas-e-tanhayi bohat
ab yeh socha hay k apni zaat main simtay rahain
hum nay kar k daikh li sub say shanasayi bohat
moun chupa kar aasteen main dair tuk rotey rahey
raat dhalti chaandni main uski yaad aayi bohat
qatra qatra ashk-e-gham aankhoun say aakhir beh gayey
hum nay palkoun ki unhain zanjeer pehnaayi bohat
apna saaya bhi juda lagta hay apni zaat say
hum nay is dil say lagaaney ki saza paayi bohat
ab tou sail-e-dard thum jayey sukoon dil ko miley
zakhm-e-dil main aachali hay ab gehraayi bohat!!