Kaha mainay janaN,
Yeh sub kuch baja hay,
Hamaray ta’luk k her rastay mein
BadaN sung-e-manzil ki surat kharra hay!!
Hawis aur Muhabbat ka lehja hay yaksaan,
Kay donu teraf say badan bolta hay,
Bazahir zamaN-o-MakaN kay safar mein
Badan Ibtida hay, Badan Intiha hay!
Mager iskay hutay… sabhi kuch kay hutay,
Kahein beech mein wu ju ek fasla hay,
Woh Kia Hay???
Meri Jaan, daikhoo
Yeh Mohoom sa fasla he hakeekat mein
Sari kahani ka asli sira hay
Badan ki hakeekat, muhabbat kay kisay ka sirf ek hissa hay,
aur is say agay
Muhabbat mein ju kuch hay usko samghna
Badan kay tasawur say he ma'wara hay
Yeh ek kay'fiyat hay
Jisay naam daina tu mumkin nahi
Samaghnay ki khatir bus itna samagh lo
Zameen ZadgaaN kay mukaddar ka jub faisla hu gaya
Tu apnay tahafuz, tashakhus ki khatir,
Her ek zaat ko ek ta’la milla tha
Wu makhsoos ta’la, ju ek khas number pay khulta hay lakin
Kisi aur number say milta nahi hay
Mujhay aur tujhay bhee yeh ta’lay milay tha
**
Mager farq itna hay kay donu kay khulnay kay number wuhi hein,
aur in numberoon pay hamaray siwa
teesra koi bhee quf’l khulta nahi
teri aur meri baat kay dermiyaN
Bus yahi ferq hay
Nice effort fara...
shayad koi ye faraq realize kar hi ley
Hmmm GS gi baat zara samajhnay ki hay...
shayad aisay samajh aa jay aap ko
Booson ki halawat say jab hoont sulagtay hoon Sansoon ki tamazat say jab chaand pighaltay hoon aur haat ki dastak per Jab band-e-quba us k, khulnay ko machaltay hoon Ishq aur hawis k beech, kuch faraq nahi rehta (Kuch faraq agar hay bhi, us waqat nahi rehta) Jab jisim karain baatain, darya bhi nahi behta Main jhoot nahi kehta Aye shaam gawahi day !!
Such kahoon to Fara jee main nay ye kisi k munh say suni thi ye a few days ago ........... sun kar ziadaa maza aaya tha..........................may be sunnanay walay ka kamal tha
Jo log apni baat nahi poori kertay ya tu unmein himmat or hoslay ki kammi huti hay ya khud-ayimadi ki? aap konsi category pasand kerein gay mr azad panchi?