**kal uski ankh nay kya zinda guftugu ki thi
guman tak na hua wo bicharnay wala hay
hawa-e- sham zara shaher-e-ja’n ki simt tu daikh
chirag bujh gaey laikin wohi ujala hay
so yea hua kay bujha chand bhi chirag kay sath
suna tu yea tha kay suraj nikalnay wala hay
mein apnay sach pay kisi ko gawah kyoon laoon
meri gazal mera sab say bara hawala hay.**
**********************