hawaiee’n loaat ayeein’ hain…
agarcha may samjhta tha…
k koi rasta loata nahi karta…
na darya murr k atay hain…
na shaamein wapsi ki soch pay emaan rakhti hain…
agarcha may samjhta tha…
k lamhay tu faqat agay he barhtay hain…
magar afsurdagi ki is purani roo say lagta hai…
mohabbat may tu kuch bhi taay nahi hota…
mohabat kab kisi bhi taay shuda rastay pay chalti hai…
meri afsurdagi chupkay say meray kaan may kehti hai…
farhat sochtay kiyaa hoo?
yeh dekho..
yeh bhala kiya hai…
zara ankhain tu kholo neend may doobay howay ghum ki
hawaiee’n loaat ayeein’ hain…
(farhat abbas shah)