Hawaa naaraaz thi shayad!

Hawaa naaraaz thi shayad

naa uss ney baat ki hum sey

naa apney saath chalney ko kahaa

andhi gali ke morr par ruk kar

hamein bas ik nazar dekhaa

magar phir morr kaataa aur bhot se

raastoun se aik rasta

chun liya uss ney

jou qasbey ke dhuwaan aalood

gehray hashiey ki samt jaataa tha

jahan ik rail gaari

muntazir thi uss ke aaney ki !

Hawaa naaraaz thi shayad

bhut jaldi thi uss ko

rail kaa palloo pakar kar

door jaaney ki

damadamm peechay hat-ti patriyoun mein

jazb honey ki !

Re: Hawaa naaraaz thi shayad!

Chalein shukar karein warna urra ker ley jatee.

Re: Hawaa naaraaz thi shayad!

kia roomanvi lamha hota agar urra kar le jaati :hehe:

Re: Hawaa naaraaz thi shayad!

jaise Piyasi novel ki heroine ko ek baghola uda ke le gaya tha :cb:

Re: Hawaa naaraaz thi shayad!

pyaasi dramey ka*, exactly wohi scene merey bhi zehan mein aaya tha :smiley:

Re: Hawaa naaraaz thi shayad!

When it comes to desert areas like Rohi, there are strange myths

Re: Hawaa naaraaz thi shayad!

exactly....

Re: Hawaa naaraaz thi shayad!

hazaron khawahishein aisee…