Suno! tum meray kamray meiN tumhaaray lams ki khushboo… kisi guldan k hathoN mein rakh jana ya phir tum meray takiye par jahaaN yadoN ka aur khawaboN ka madfan hey, dua k phool rakh jana suna hey …! boltay ho tou bahaaraiN phool chunti haiN tumhara lams pa kar tou hawa maghroor rehti hey buhat khushboo luTati hey suna hey…! kehkshaaN aksar wahan pr paa’i jaati hey jahaN par tum qadam rakho suna hey…! tum sakhi bhi ho bina maangay hii lamhoN ko… gulaabi rang detay ho ka’ee be Noor aankhoN main bohat sey khawab aur jugnu basatay ho suno…! meray liye ‘‘Tum’’ kar sako tou itna kar dena hawa sey dosti rakhna hawa meri saheli hai tumhain chhuh kar jo aaye gi bohat khushbu lutaaye gi tou main bhi saans lay luuN gi
**koi din aur ji luuN gi…!!
****jis ne parh ke reply nai kia wuh ganja/ganji ho jae ga Inshallah **