Hawa ko likhna jo aa gaya hey
** ab us ki marzi ke wo khizaaN ko bahaar likh dey**
** bahaar ko intizaar likh dey**
** safar ki khuahish ko wahamoN ke azaab sey hum-kinar likh dey**
** wafa ke raston pe chalney waloN ki qismatoN meiN ghubar likh dey**
** hawa ko likhna jo aa gaya hey**
** hawa ko likhna jo aa gaya hey**
** hawa ki merzi ke wasl maosam meiN hijr ko hissa-dar likh dey**
** mohabbatoN meiN guzernay wali ruton ko na-paedaar likh dey**
** shajer ko kam-saaya-daar likh dey**
** hawa ko likhna jo aa gaya hey**
** ab us ki marzi**
** keh wo humarey diye bujha ker**
** shaboN ko ba-ikhtiyaar ker ke saher ko be-aetbaar likh dey**
** hawa ko likhna sikhaney walo!!**
** hawa ko likhna jo aa gaya hey…**
hawa ki merzi ke wasl maosam meiN hijr ko hissa-dar likh dey
mohabbatoN meiN guzernay wali ruton ko na-paedaar likh dey
shajer ko kam-saaya-daar likh dey