Hawa ko likhna jo aa gaya hey
-
ab uski marzi k wo *
-
khizaan ko bahaar likh dey*
-
bahaar ko intezaar likh dey*
-
safar ki khuwahish ko wahimoon k azaab sey humkinaar likh dey*
-
wafa k raastoon pey chalney waaloon ki *
-
qismatoon mein ghubaar likh dey*
-
hawa ko likhna jo aa gaya hey!*
-
hawa ki marzi k wasl musam mein hijr ko *
-
hisadaar likh dey*
-
muhabbaton mein guzarney wali ratoon ko na-paidaar likh dey*
-
shajar ko kam sayadaar likh dey*
-
hawa ko likhna jo aa gaya hey*
-
ab uski marzi k wo humaray diye bujha kar*
-
shaboon ko bai-ikhtiyaar kar k sehar ko bai-aitebaar likh dey*
-
hawa ko likhna sikhaney waloon!*
-
hawa ko likhna jo aa gaya hey.
Restored attachments:
