enter10
1
**hawa k khauf se zakhmi kabhi ana na karo
bujhay charag to bujhnay do ilteja na karo
kuch ehtram baroon ka bhi lazmi hai magar
ghuman guzray khushamad ka youn jhuka na karo
ye uska kaam hai wo zakhm de k phool tumhain
jo dost maan lya hai to phir gila na karo
tum aadmi bhi ho insan bhi suboot to do
bhalai ho nahi sakti to phir bura na karo
mila hai sabr virasat mai uski laaj rakho
ho dushmani bhi kisi se to baddua na karo
hawas jahaiz ki, insaniat ki qatil hai
kisi gharib ki beti ko be rida na karo…!**
LP
2
Re: hawa k khauf se zakhmi kabhi ana na karo
[QUOTE]
kuch ehtram baroon ka bhi lazmi hai magar
ghuman guzray khushamad ka youn jhuka na karo
[/QUOTE]
elaborate plz
enter10
3
Re: hawa k khauf se zakhmi kabhi ana na karo
elaborate plz
Baron ka sachchy dil sy ehteraam krnay ka kaha gaya hy...........magar is terhan na karo k khushamad krny walay lago........
LP
4

i like it :D
enter10
5
Re: hawa k khauf se zakhmi kabhi ana na karo
thanX
Re: hawa k khauf se zakhmi kabhi ana na karo
hawas jahaiz ki, insaniat ki qatil hai
kisi gharib ki beti ko be rida na karo…!
bilkul :k:
Re: hawa k khauf se zakhmi kabhi ana na karo
**hawas jahaiz ki, insaniat ki qatil hai
kisi gharib ki beti ko be rida na karo...!
well said.
**