hawaein lout aye hain*** ***agarcha mein samhajta tha*** ***kay koi rasta lota nahi karta*** ***na darya mo0r kay atay hain*** ***na shamaein wapsee ke souch per iman rakhte hain
agarcha main samhjata tha
kay lamhay to faqt agay he bahrtay hain
magar afsordgee ke is purane roo say lagta hai
(jo meray dil pay chahye)
mohabbat main to kuch bhi tay nahi hota
mohabbat kab kese bhi tay-shuda rastay pay chalte hay
mere afsordgee chupkay say meray kaan main kehte hay
‘Farhat’ souchtay kia ho
yeh dekho
yeh bahla kia hai
zara aankhein to kohlo neend main dobay hoay ghum ke
hawa`ein lout aye hain ..
BY: ‘Farhat Abaas Shah’