Hausala kis may hai yusuf ki kharidari ka

Raqs karane ka mila hukm jo dariyaon may
Ham ne khush hoke bhanwar bandh liye paon may

Un ko bhi hai kisi bhige hue manzar ki talash
Bund tak bo na sake jo kabhi saharaon may

Ai mere ham safaron tum bhi thake hare ho
Dhup ki tum to milawat na karo chaon may

Jo bhi ata hai batata hai naya koi ilaj
Bat na jaye tera bimar masihaon may

Hausala kis may hai yusuf ki kharidari ka
Ab to mahangai ke charche hai zulaikhaon may

Jis barahaman ne kaha hai ke ye sal achcha hai
Us ko dafnao mere hath ki rekhaon may

Wo khuda hai kisi tute hue dil may hoga
Masjidon may use dhundho na kalisaon may

Ham ko apas may muhabbat nahi karane dete
Ik yahi aib hai is shahar ke danaon may

Mujh se karate hain Qateel is liye kuch log hasad
Kyon mere sher hain maqabul hasinaon may

Re: Hausala kis may hai yusuf ki kharidari ka

Mujh se karate hain Qateel is liye kuch log hasad
Kyon mere sher hain maqabul hasinaon may

:hehe:

Re: Hausala kis may hai yusuf ki kharidari ka

Jab bhi aata hai mera naam tere naam ke sath
Jane kiyun log mere naam se jal jate hain :mad2:

Re: Hausala kis may hai yusuf ki kharidari ka

**Bohat Umdah.......

Jo bhi ata hai batata hai naya koi ilaj
Bat na jaye tera bimar masihaon may**

Re: Hausala kis may hai yusuf ki kharidari ka

PTI aaegi sonami lae gi :hoonh: