haath uThe hain magar lab pe duaa koii nahiin
kii ibaadat bhii vo jis kii jazaa koii nahiin
ye bhii vaqt aanaa thaa ab to gosh har aavaaz hai
aur mere barbaad-e-dil mein sadaa koii nahiin
aa ke ab tasliim kar lein tuu nahiin to main sahii
kaun maanegaa ke ham mein bevafaa koii nahiin
vaqt ne vo Khaak uDaaii hai ke dil ke dasht se
qaafile guzare hain phir bhii naqsh-e-paa koii nahii
Khud ko yuuN mahasuur kar baiThaa huuN apanii zaat mein
manzilein chaaron taraf hai raastaa koii nahin
kaise raaston se chale aur kis jagah pahuNche ‘Faraz’
yaa hujuum-e-dostaaN thaa saath yaa koii nahiin
Minerva
2
Re: Hath Uthe hain magar lab pe dua koi nahi
this has to be one of my favourites. Brings back bitter sweet memories.
Aliyish
3
Re: Hath Uthe hain magar lab pe dua koi nahi
aa ke ab tasliim kar lein tuu nahiin to main sahii
kaun maanegaa ke ham mein bevafaa koii nahiin
:(
muncho
4
Re: Hath Uthe hain magar lab pe dua koi nahi
waah waa, kia kahnay g
Sheal
5
Re: Hath Uthe hain magar lab pe dua koi nahi
very nice :)
_MuNiYa
6
Re: Hath Uthe hain magar lab pe dua koi nahi
wah wah wah