hassan kooza gar..part one

**Hasan Koozagar

Jahan Zaad!

Neechay gali main teray dar k aagay
Ye main sokhta sar, Hasan Koozagar hoon
Subhu boorhay attar yousuf ki dukkan par
Tujhay main ne daikha
Tu tairi aankhon main wo taabnaaki thi
main jis ki hasrat main nu (9) saal deewana phirta raha hoon
Jahan Zaad Nu saal deewana phirta raha hoon

Jahanzad ye nu saal ka daur yoon mujh pe guzra
Jaisay kisi shehr-e-madfoon par waqt guzray
Taghaaron main mitti!
kabhi jiski khushboo se waarafta hota tha main
Sang basta parhi thi

Extract from Hasan Koozagar
(Noon Meem Rashid**

Re: hassan kooza gar..part one

jahanzaad ka meaning?

Re: hassan kooza gar..part one

Jahan Zaad (Apnay Mehbbob Ko Iss nAam Se Pukara Hai Shayar Ne)