Hasrat rahi koi to yahan deeda war milay
Lekin teri gali main sabhi kam nazar milay
Aise bhi aashna hain na dekha jinhe kabhi
Na aashna the wo bhi jo sham o sehr milay
Shayad iss liye hamen manzil na mil saki
Jitne bhi humko log milay rahbar milay
Likhi thin jin pe apne junnon ki hikayaten
Aawargi main kuch aise bhi baam o dar milay
kia kia nazar nazar main hui guftugu na pooch
Muddat ke baad wo jab sar e rahguzar milay
Humko to daagh e dil ke siwa kuch na mil saka
Inn bastiyon main pyar magar kisi ko milay
Jalib hawae laal o guhar thi na aaj hai
Wo sang e dar azeez hai wo sang e dar milay
Sannan
2
Re: Hasrat rahi koi to yahan deeda war milay
Hasrat rahi koi to yahan deeda war milay
Lekin teri gali main sabhi kam nazar milay
Sunna hay fish khanay say nazar taiz ho jati hay 
Re: Hasrat rahi koi to yahan deeda war milay
^ Suna to khair maine bhi hai...
UZ
4
Re: Hasrat rahi koi to yahan deeda war milay
Sachi cod liver oil khanay say nazar tez hoti hai 
Diva
5
Re: Hasrat rahi koi to yahan deeda war milay
Hahahaaaaaaa …Ab yeh unka apna muamla nahin na werna khaa leytay …masla tou gali walon ka hai na …
Re: Hasrat rahi koi to yahan deeda war milay
Per hamari gali main to koi shakahari nahin 